Kahaan toh tay tha chirangan har ek ghar ke liye,
Kahaan chiraag mayassar nahin sahar ke liye.
Yahaan darakhton ke saaye mein bhi dhoop lagti hai
Chalo yahaan se chalein aur umra bhar ke liye.
Na ho kameez to paaon se pet dhak lenge
Yeh log kitne munasib hain is safar ke liye.
Khuda nahin, aadmi ka khaab sahi,
Koi haseen nazaara toh ho nazar ke liye.
Ve mumtaain hain ki patthar pighal nahin sakta,
Main bekaraar hoon awaaz mein asar ke liye.
Tera nizaam hai sil-de-zubaan shayar ki,
Yeh aitihaat zaroori hai is bahar ke liye.
Jiyein toh apne bageechon mein gulmohar ke tale,
Marein toh gair ki galiyon mein gulmohar ke liye.
-Dushyant Kumar
My obvious gift to the world today is not attempting a sloppy hindi-script rewriting. Too many spellings that I'm unsure of.
Talk about verse for change! CBSE floors me once again =\
No comments:
Post a Comment